Loading

My Poems

1. Chalte hue thoda ruk sa gaya , na hawa chali thi na tufan aaya , bas yun hi saham gaya , sannata bahut tha , na thi koi cheekh pukar bas yun hi thoda bechen sa tha..

Samne do raha tha , kis aur jaun aur bina kisi ko chode kiske paas jaun , bhala kya aisa bhi ho sakta tha..par me to apni dhun me magan tha...mujhe to sabko apnana tha...mujhe idher bhi aur udhar bhi...jaana tha..

Rah mushkil hi sahi, ab to bhav sindhu bhi tar jaun.. Aisi lehar mansindhu se uthi,

ki aaj to tar jaun chahe phir na kyon me mar jaun..aakhir sacha rasta to yahi hai..magar ye bhi sach hai ke ye baat mere liye nai hai...me to tera tha tera hun ab tu soch ke meri rah me roshni kaise karu....

2.  Eak wo bhi jamana tha , eak ye bhi jamana hai....
tab hum besamajh the......
par hume samajhne wale bahut the..,
aaj hum samajhdar ho gaye hain to hume samajhne wala koi nahi.....aaj bhi sahara tumhara hai.
warna hum to kabhi ke ladkhada gaye hote.....

No comments: